Zindagi me rang bhar sakti hu main


Phoolo se khushbu chura sakti hu main,
Yun hi kuch likhte likhte etihas bhi rach sakti hu main,
Chah lu to us asman ko bhi chu sakti hu main,
Dekh lena kabhi asman par bina pankho ke 
badlo ke sang bhi ud sakti hu main.


Dost ban jau jo kisi ki use har muskil se
jitna shikha sakti hu main,
Hamsafar ban jau jo kisi ki uski har rah
manjil bna sakti hu main,


Najar bhar dekh lu jisko use apna bna sakti hu main,
Jajba to vo rakhti hu ki parvat bhi par kar skti hu main,


Kabhi dekhna sagar ki gahraiyon me
lahro ke sath gahraiyon ko bhi chu sakti hu main,


Mere pyar mere samarpan ko kamjori na samajhna,
Mit sakti hu kisi par to mita bhi sakti hu main,


Jeet sako to pyar se jeet lena mujhe,
Pyar me sab kuch har sakti hu main,


Kamjor nahi hun majboor bhi ni hu,
Jid par a jau to duniya bhi badal sakti hu main,
yun hi kuch likhte likhte etihas bhi rach sakti hun main.


Next - Aao hum sab bachpan ko laye


एक टिप्पणी भेजें

9 टिप्पणियाँ

  1. Inspirational and you should publish more

    जवाब देंहटाएं
  2. Beautiful poem n best enspiration....����

    जवाब देंहटाएं
  3. Yess if we decide to do something then we can achieve .... nothing is impossible everything is possible in this universe

    जवाब देंहटाएं